Member stories
In their own words.
What it cost, what it took to stop, and what is still not fixed. Some are written by members here. Others come from Milind’s own calls, retold with every name, place and identifying detail changed. Nothing appears until he has read it.
Sau rupay ka pehla recharge
Main padhai ke liye ghar se door aayi thi. Graduation ka aakhri saal chal raha tha aur saath mein ek chhoti si naukri thi, barah terah hazaar mahina. Kharcha poora nahi padta tha, isliye main Instagram par extra kamai…
6 September 2026
UPI band karwa diya
Pandrah saal ho gaye the mujhe khelte hue. Do mahine pehle tak mera din aise chalta tha: raat ke do baje aankh khulti thi, phone haath mein aa jata tha, aur khaate mein jo bhi paisa hota woh subah tak nahi hota tha.…
6 September 2026
Doosron ko rokta tha, khud doob gaya
Kabhi main woh aadmi tha jo doosron ko satte se rokta tha. Dost khelte the to main unhe baithha ke samjhata tha ki ismein kuch nahi rakha, yeh galat kaam hai. Bachpan mein hum IPL par shart lagate the, par us shart mein…
6 September 2026
Dost bola, jinn match bata deta hai
Pandrah saal ho gaye mujhe satta khelte hue. Jab shuru hua tab main sattrah-atharah saal ka tha aur meri pehli naukri saat sau pachaas rupay mahine ki thi, gali gali ghoom ke recharge ke coupon bechne wali. Mohalle mein…
6 September 2026
Zero hone tak haath nahi rukta
Main pachchees saal ki hoon. Un bachchon ke saath kaam karti hoon jinko autism hai, jo bolte nahi hain. Ek bachcha do mahine mein 'mumma' bol de to uske parents ke liye is se badi khushi koi nahi hoti. Ye kaam mujhe…
6 September 2026
Bike girvi rakh ke bhi haar gaya
Gyarah saal ki umar mein main ghar se bhaag aaya tha. Maa bachpan mein hi chali gayi thi, papa ne doosri shaadi kar li, aur mujhe wahan apna kuch laga hi nahi. Bade sheher mein ek dukaan par kaam mila. Dhai sau rupaye…
6 September 2026
Do raat maine train mein kaati
Main baais saal ka hoon, apne desh se bahar padhne aaya hoon. Yahan student ko hafte mein chaubees ghante kaam karne ki ijazat hai, lekin sab do jagah karte hain aur main bhi karta hoon. Din mein ek kaam, raat ko…
6 September 2026
Bachchon ki fees ki raseed maang rahe hain
Umar tees hai, log chalis-baalis ka samajhte hain. Aankhon ke neeche jo hai wo teen saal ki den hai. College mein fantasy teams se shuru hua tha, pachaas-sau rupaye, itna hi. B.Tech ke baad usi college mein padhane…
6 September 2026
Mummy ke account ka UPI maine bana liya
Main teis saal ka hoon, graduation ke aakhri saal mein. Papa doosre desh mein kaam karte hain, ek mill mein, aur mahine ka jo bachta hai ghar bhej dete hain. Unke account ka online access mere paas hai. Ghar mein sabse…
6 September 2026
Phone factory mein chhod ke aata hoon
Padhai chauthi-paanchvi tak hi hui. Gaon ke jo dost bahar kaam karne gaye the wo naye kapde aur naye joote pehen ke lautte the, aur mujhe laga main bhi jaunga to aisa ho jaunga. Chaar saal pehle nikal aaya. Pehle…
6 September 2026
Sote hue bhai ka phone
Main sattaais saal ka hoon. Ek political party ka karyakarta hoon aur saath mein property ka kaam. Logon ne mujhe naam se jaana aur bharosa kiya. Wahi bharosa maine ek-ek karke bech diya. Cricket par bet lagata tha —…
6 September 2026
Behen ki chain ke paise
Hum log bahut gareeb hain. Ghar par do-teen bhainsein hain, unka doodh bech kar ghar chalta tha. Ek waqt ka khana ho jaata tha to doosre waqt ka pakka nahi hota tha. Papa bahar kaam karte the, Covid mein nikaal diye…
6 September 2026
Ek 'sir' ka jhooth
Lockdown mein main barahvi mein tha. Dekhta tha ki log internet se paise kama rahe hain, to ghar walon se computer maanga. Unhone dila diya. 2022 mein apne se dus saal bade ek partner ke saath online service ka kaam…
6 September 2026
Papa mere pair pakad kar roye
Main bais saal ka hoon, graduation ka aakhri saal chal raha hai, ghar mein akela beta hoon. Papa kisaan hain, do-teen bighe zameen hai. 2019 mein Dream11 se shuru hua. Sab team bana rahe the, maine bhi bana li. Phir…
6 September 2026
Crop kiya hua screenshot
Main atthais saal ka hoon. 2018 mein ek supply company mein chhe mahine kaam kiya, phir lockdown mein wo naukri chali gayi. Ghar baith gaya. Dost log Ludo par paise laga ke khelte the. Maine bhi pachaas-sau se shuru…
6 September 2026
Barah saal ki bachat, do saal mein
Chhattis saal ka hoon aur barah saal se ghar se door, desh ke bahar kaam kar raha hoon. Ek factory mein sample testing ka kaam hai — do hafte din ki shift, do hafte raat ki. Yeh saare saal maine ghar paise bheje. Ghar…
6 September 2026
Ab match bachpan wale tarike se dekhta hoon
Chaar saal pehle jab maine pehli baar khela tha, mujhe ye khayal bhi nahi tha ki main itna andar tak dhas jaunga. Sab ne mujhe roka. Ghar wale, colleagues, bhai, mummy-papa, chacha-chachi — mere bhanje tak, ki mama ye…
6 September 2026
Mummy bank gayi, khaata khaali tha
Main chhabbees saal ka hoon. ITI ke doosre saal mein tha jab ek dost ne raat ko link bheja — Dragon Tiger. Bola thoda daal ke dekh, sau pachaas ka do sau ho jaata hai. Maine ek sau pachaas daale, paanch sau ho gaye,…
6 September 2026
Jis raat main so gaya tha
Padhai mein main hamesha theek tha. GATE nikala, ek achhe college se M.Tech kiya, aur aaj ek private company mein embedded software engineer hoon. Kareeb nabbe hazaar mahina haath mein aata hai. Chalees hazaar se zyada…
6 September 2026
Shaam wale match tak kuch nahi bacha
Maine pehli baar taash mein khela tha, class chhe ya saat mein. Do sau lagaye the, gyarah-barah hazaar ban gaye the. Ghar mein parchoon ki dukaan hai, paise haath mein rehte the. Bas wahi din tha jab chaska lag gaya.…
6 September 2026
Ghar walon ne mujhe bahar bhej diya
Mere papa ne zero se ek school khada kiya hai. Woh chhote the tab unke papa nahi rahe, teen behnein thi, ghar kadiyon wala tha. Ekkis saal ki umar mein unhone padhana shuru kiya. Hum bachpan mein fees ki tangi dekh…
6 September 2026
Athara logon ka hisaab yaad nahi
Mera selection pehle hi attempt mein ho gaya tha. Ghar mein jashn tha — ladke ki sarkari naukri lag gayi. Aaj wahi log mera chehra nahi dekhna chahte. Pehli baar 2019 mein khela tha, computer class ke ek dost ko dekh…
6 September 2026
Papa hospital mein the, main neeche khel raha tha
Ghar ki halat kabhi achhi nahi thi. Main barhvi mein tha jab papa ko brain stroke aaya. Woh us din ke baad kabhi theek se chal nahi paye. Maine ek saal padhai chhod di, chhote bachchon ko padha ke chhe-saat hazaar…
6 September 2026
Bike das baar giravi rakhi
School ke dinon mein maine dekha tha ki bade ladke match ke beech mein hatt ke phone par team banate hain. Utsukta hui. Chacha ka phone lekar Dream11 daal liya, par na khaata tha na paisa, to agle din delete kar diya.…
6 September 2026
Chain chhuda li, taane baaki hain
Ek computer ka course kiya tha aur uske baad bade sheher mein bees hazaar ki naukri lag gayi thi. Woh naukri mujhse kisi ne chhudwayi nahi. Maine khud chhodi, kyunki satte ke chakkar mein kaam par dhyan hi nahi rehta…
6 September 2026