← Member stories

Crop kiya hua screenshot

Main atthais saal ka hoon. 2018 mein ek supply company mein chhe mahine kaam kiya, phir lockdown mein wo naukri chali gayi. Ghar baith gaya. Dost log Ludo par paise laga ke khelte the. Maine bhi pachaas-sau se shuru kiya, bees hazaar haar gaya. Phir apna PF nikaala, phir khela, aur saath hazaar jeet gaya. Us paise se ek bike le li kiston par.

Ghar mein ek chhota bhai jaisa ladka tha, us waqt gyaarvi mein padhta tha. Usne Ludo ka group khol liya — log aapas mein bet lagate the, hum paanch percent commission kaat lete the. Do hazaar log jud gaye. Ek-dedh lakh roz ki income hone lagi. Din mein wo chalata tha, raat mein main.

Par mujhe ras pad gaya. Team ko group sambhalne bol kar main khud khelne baith jaata tha. Kabhi do lakh loss, kabhi teen. Wo ladka do-dhaai crore kama ke nikal gaya, padhai poori kar li, ab bahar ja raha hai. Aur maine ghar par ek rupaya nahi diya, upar se teen lakh ka karza kar liya. Papa ne wo chukaya. Sirf itna bole — beta, in cheezon ko haath mat lagana, main khud bhugat bhogi hoon.

Papa ne apni hi company mein meri naukri lagwa di. Chhattis hazaar salary hai. Cycle yeh hai: do-teen mahine seedha chalta hoon, phir chalis-pachaas hazaar udhaar leta hoon, khel jaata hoon, do-teen mahine chukata hoon, phir wahi.

Pichhle saal mummy ne kaha tha ki fasal mandi mein bech aa. Sawa lakh mila. Gaon lautkar ek dost ke saath baith gaya aur sab haar gaya. Ghar jaake sach bol diya. Mummy royi, papa roye, behen royi. Aisa maine aath-das baar kiya hai.

Is baar saat tareekh ko salary aayi. Main soch raha tha do hazaar bana loonga, cigarette ka kharcha nikal jaayega. Chai ki thadi par baitha, yo247 par aviator khelne laga, aadhe ghante mein poori salary gayi. Mummy ke account mein bees hazaar daalne the. Papa ne pucha, daal diye kya? Maine transfer ki koshish ki, wo fail ho gaya — maine uska screenshot liya, upar jahan 'failed' likha tha usko crop karke kaat diya, aur UTR aur amount wala hissa papa ko bhej diya.

Agle din duty par logon se chaalis hazaar udhaar liya, pandrah tareekh ka naam lekar. Papa se bola dost ke saath ja raha hoon. Do ghante mein wo bhi zero.

Do din se ghar nahi gaya. Papa ke pandrah-bees phone aaye, mummy ke, behen ke — ek bhi nahi uthaya. Dost ke yahan pada hoon. Sab jodkar dedh crore ke aas paas haar chuka hoon. Abhi karza dhaai-teen lakh hai. Ab bas ghar jaakar saamna karna hai. Isse zyada mujhe kuch samajh nahi aa raha.