← Member stories

Do raat maine train mein kaati

Main baais saal ka hoon, apne desh se bahar padhne aaya hoon. Yahan student ko hafte mein chaubees ghante kaam karne ki ijazat hai, lekin sab do jagah karte hain aur main bhi karta hoon. Din mein ek kaam, raat ko restaurant. Indian rupaye mein dekha jaye to teen-chaar lakh mahina ban jaata hai. Baais saal ki umar mein. Aur mera nuksaan lagbhag ek crore hai.

Ye casino se nahi hua. Crypto se shuru hua tha, jab main school mein hi tha. Airdrop se paisa aata tha aur main use futures mein daal deta tha. Sattarah saal ki umar mein ghar ke account se teen lakh gawa diye the. Ek copy mein maine likha bhi tha ki main zindagi mein kabhi trading nahi karunga. Pata nahi phir kaise kar leta tha.

Yahan aake pehle chhe-saat mahine mein ghar ka satrah-attharah lakh ka loan chuka diya. Uske baad har budhwar salary aati thi aur usi budhwar chali jaati thi. Kabhi to train mein baithe baithe daalta tha aur utarne se pehle zero ho jaati thi.

College ki fees nahi bhar paya. Notice aaya ki fees nahi di to enrolment cancel, aur uske baad visa bhi nahi. Ghar mein bataya, unhone paanch lakh bheje, poore paanch lakh maine usi din daal diye. Phir aath lakh bheje, wo bhi. Credit card ki limit teen din mein khatam kar di. Apple watch bech di, phir nayi installment par li sirf isliye ki use girvi rakh sakoon. iPhone girvi rakha. Ek baar apne cousin bhaiya ke kamre se cash bhi churaya tha.

Phir wo do raat aayi. Rent nahi bhara tha isliye kamre par ja nahi sakta tha, ghar wapas ja nahi sakta tha, doston ka phone nahi uthata tha kyunki sabka paisa mere upar tha. Raat ki shift karke seedha train mein baith jaata tha. Ek taraf teen ghanta, wapas teen ghanta. Beech mein station par ek-dedh ghanta rukna padta tha kyunki bahar bahut thand thi. Wahan wo log baithe hote hain jinka koi ghar nahi hai. Main bahut darne wala ladka hoon. Ek aadmi bina baat mujhe gaali dene laga, main chup baitha raha. Khana din mein ek hi baar khata tha, raat ko restaurant mein.

Do din baad ghar walon ko pata chala. Cousin bhaiya ne mera rent bhar diya aur bulaya ki aa jao, kha lo, so jao. Uske do din baad salary aayi aur maine phir daal di.

Ab mera salary account bhaiya ke paas hai. Kaam par manager ko maine khud bataya ki mujhe lat lag chuki hai, mera paisa mujhe mat do. Bas itna hi kar paya hoon abhi tak, ki paisa mere haath mein na ho.