← Member stories

Bike girvi rakh ke bhi haar gaya

Gyarah saal ki umar mein main ghar se bhaag aaya tha. Maa bachpan mein hi chali gayi thi, papa ne doosri shaadi kar li, aur mujhe wahan apna kuch laga hi nahi. Bade sheher mein ek dukaan par kaam mila. Dhai sau rupaye mahina aur khaane ka kharcha. Chai lao, biscuit lao, nashta lao. Aise saat-aath saal nikal gaye. Padhai naam ki cheez hui hi nahi.

Aaj apna kaam karta hoon. Gaadi ka poora kaam aata hai mujhe, tyre se lekar accessories tak. Roz ka do-dhai hazaar, market achha ho to das bhi. Mahine ke sattar-assi hazaar. Aur usi aadmi ki haalat ye hai ki sau rupaye ke liye mohtaaj hai.

Jua tera saal se chal raha hai. Pehle cash mein hota tha, chhoti-moti baaziyan jo gali mein chalti thi. Us waqt mahine ke do hazaar kamata tha aur usi mein se lagata tha. Cricket mein paanch-chhe lakh gaye. Lekin asli barbaadi pichle saat mahine ki hai. Aviator. Is saal ke aadhe saal mein hi satrah-attharah lakh.

Sab jodh loon to lagbhag chalis lakh. Meri kamai ke das-gyarah saal.

Gaon mein teen lakh sattar hazaar sood par uthaye hue hain. Kisi se chaar percent par, kisi se paanch, kisi se das. Mahine ka paanch hazaar sirf byaaj mein jaata hai. Chhe mahine se main gaon nahi gaya, kyunki jinka paisa hai wo dekhenge ki ye ghoom raha hai aur paisa diya nahi. Biwi ke account mein dhai lakh the, jhooth bol ke mangwaye aur haar gaya.

Biwi ko ab sab pata hai. Maine khud bataya, kyunki jeete-ji jhooth bol ke kab tak paisa lunga. Lekin uske jaanne se main ruka nahi. Chaar din pehle phir jhooth bola, ki gaadi ke kaam mein phans gaya hoon, paisa chahiye. Do-do teen-teen hazaar karke satrah hazaar mangwa liye. Wo bhi gaye. Uske baad apni bike, jo ek saal purani hai aur jiski saade chaar hazaar mahina ki kist main abhi bhi bhar raha hoon, wo girvi rakh ke paisa liya. Aur wo bhi haar gaya. Bike ab uske paas hai, agreement bana hua hai, paisa dunga tab milegi.

Ek mahina maine nahi khela tha. Us mahine mein kama ke assi hazaar biwi ke account mein bhej diye the. Phir toot gaya.

Do bete hain, saade chaar saal ka aur chhota. Unke liye khilona tak nahi le ja pa raha. Shaadi ko paanch saal ho gaye, biwi ko ek jodi kapda nahi dilwa paya, kahin ghumane nahi le gaya. Kabhi kabhi dil karta hai bas ro loon.