← Member stories

Papa hospital mein the, main neeche khel raha tha

Ghar ki halat kabhi achhi nahi thi. Main barhvi mein tha jab papa ko brain stroke aaya. Woh us din ke baad kabhi theek se chal nahi paye. Maine ek saal padhai chhod di, chhote bachchon ko padha ke chhe-saat hazaar mahina kamaya, phir graduation kiya. Beech mein deewaron pe painting ka kaam seekh liya — school ki deewar pe poster, ek din ke do-teen hazaar. Usi paise se maine mitti ka ghar tudwa ke ek chhota pakka kamra banwa liya tha. Main ghar ka akela beta hoon. Us waqt mujhe apne aap pe garv tha.

Lockdown mein gaon ke ek ladke ne colour trading ka link diya. Nau hazaar gaye. Phir phone pe rummy app ka message aaya, usme bonus tha. Do saal chalta raha.

Phir papa ko dobara stroke aaya. Main unhe sarkari medical le gaya. Paise kam pad rahe the. Jo paise maine logon se papa ke ilaaj ke naam pe maange the, woh raat ko unke bed ke neeche zameen pe lete hue maine app mein daal diye. Dragon Tiger. Papa upar the. Main neeche haar raha tha. Didi se aur saat-aath hazaar mangwaye, woh bhi gaye.

Naukri mujhe do saal pehle lagi. Padhane ki sarkari naukri. Papa meri pehli salary aane se pehle chale gaye.

Uske baad ka hisaab main khud nahi de sakta. Bank se teen lakh ka loan liya — mujhe ek lakh chahiye tha, bank ne kaha teen le lo. Teen din mein khatam. Maine do phone tod diye. Phir saat lakh ka loan. Phir das lakh ka. Ek baar ek lakh se saat lakh ban gaye the ID mein. Maine nikaale hi nahi, socha aur banayenge. Saaton lakh wapas chale gaye.

Shaadi ek achhe ghar mein hui. Sasural walon ne humein ghar banwa diya, gaadi di, sona diya. Biwi ne apne paise se mujhe phone dilwaya kyunki main chhota keypad wala phone chalata tha. Shaadi ke ek mahine baad maine uski chain girvi rakh di. Phir uski ring — us paise se maine usi size ki ek patli nakli ring banwa li taaki kisi ko pata na chale.

Pichhle bees din mein maine bees se zyada apps se loan liya hai. Aaj mere upar kareeb pachchees lakh ka karza hai. Salary aati hai, usi din khatam. Gaadi mein petrol daalne ke paise nahi hain, aur roz sattar kilometre school jaana hai.

Do baar main marne gaya. Mummy ne kaha tha tu mar ja. Biwi ne pakad ke roka.

Kal maine kasam khayi thi ki bas. Usi raat maine saat hazaar aur laga diye.