Bachchon ki fees ki raseed maang rahe hain
6 September 2026
Umar tees hai, log chalis-baalis ka samajhte hain. Aankhon ke neeche jo hai wo teen saal ki den hai.
College mein fantasy teams se shuru hua tha, pachaas-sau rupaye, itna hi. B.Tech ke baad usi college mein padhane laga, phir apna kaam khada kiya. Education consultancy. Bachchon ko college aur university recommend karta hoon, admission karwata hoon. Unki fees mere account mein aati hai, main college mein jama karke raseed unhe bhej deta hoon. Poora kaam bharose ka hai. Meri growth bhi isi se hui, ek khush bachcha teen aur le aata hai.
Asli shuruaat teen saal pehle hui. Jis PG mein rehta tha wahan ladke khelte the, mujhe pata chal gaya ki aisi website hoti hai. Hazaar-pandrah sau daale. Phir Crazy Time. Ek baar sau rupaye ke bet se do lakh assi hazaar ban gaye, maine nikale bhi, aur usi din wapas haar diye. Wo ek number aaj tak dimaag se nahi nikla. Uske baad slots. Ghanton ghante slots.
Teen saal mein chauntalis lakh. Aath-nau lakh to sirf pichle chhe mahine mein. Loan apps ka teen-chaar lakh sar par hai. Aur chaar lakh wo hai jo bachchon ki fees ka tha aur maine ID mein daal diya.
Aisa hota hai. Ek bachche ka phone aata hai, sir main pachchees hazaar bhej raha hoon, raseed kab milegi. Main bolta hoon pandrah din mein. Paisa aata hai aur das minute mein zero. Us gaddhe ko bharne ke liye main agle bachche ki fees leta hoon. Kal ek ne pentees hazaar bheje the naye admission ke liye. Wo bhi gaye.
Chaar bank account the, chaaron ka UPI band karwa diya. Ek payments bank ka account bhool gaya tha, wahi chalu ho gaya, aur usi par maine teen bachchon ki fees mangwa li.
Tees taarikh tak mujhe sabki fees jama karani hai. Kaise karunga? Kisi baad wale bachche ka paisa lekar pehle wale ka bharunga, bas yahi jugaad hai. Teen mahine se office nahi gaya, rent bhar raha hoon. Pichle saal is waqt mere saath teen-chaar log kaam karte the.
Teen mahine baad meri shaadi hai. Ghar mein kisi ko nahi pata. Jinse shaadi ho rahi hai unko bhi nahi pata. Sab mujhe sincere aadmi maante hain, maine sharaab tak nahi pi kabhi. Das taarikh se gym join kiya hai aur khud se kaha hai ki ab nahi khelunga. Kal tak nahi khela tha.