← Member stories

Bike das baar giravi rakhi

School ke dinon mein maine dekha tha ki bade ladke match ke beech mein hatt ke phone par team banate hain. Utsukta hui. Chacha ka phone lekar Dream11 daal liya, par na khaata tha na paisa, to agle din delete kar diya. Do saal baad apna phone aaya to dobara daal liya. Das rupay, bees rupay, pachaas rupay. Us waqt main ek bharti ki taiyari kar raha tha - physical nikal gaya, medical bhi nikal gaya, likhit mein reh gaya. Ghar aa gaya. Uske baad kabhi kisi exam ka form nahi bhara.

Papa ki dukaan hai. Unka apna khaata nahi tha, isliye grahakon ka paisa mere khaate mein aata tha. Us paise mein se maine dheere dheere pachaas saath hazaar nikaal liya aur papa se kehta raha ki khaata hold par hai. Asli shuruaat shaadi ke baad hui. Shaadi mein jo paisa aaya tha, do dhai lakh, woh sab ID par chala gaya.

Apna paisa khatam hua to maine apni angoothiyan - paanch thi - ek ek karke giravi rakhni shuru ki. Chhuda nahi paya to bech di. Doston se das hazaar, pandrah hazaar, bees hazaar karke dhai lakh ka udhaar ho gaya, kyunki sabko lagta tha ki ghar mein paisa hai. Phir ek dost ne Colour Prediction sikha diya. Wahan to din ka do hazaar jaane laga.

Bike ka kissa alag hai. Bazaar ke paas ek bande ke paas bike giravi rakh deta tha, bees hazaar milte the. Bees hazaar das minute mein khatam. Phir kabhi mama se maang ke, kabhi jhooth bol ke maa ki angoothi utha ke, bike chhudata tha. Yeh chakkar das baar chala.

Ek din papa ne apni angoothi maangi. Maine kaha bahu ke paas hai. Do minute mein jhooth khul gaya. Maa ne sirf itna kaha, tumhari itni badi himmat ho gayi. Ek baar maine biwi se kaha tha ki apni chain de do, main sab ek jhatke mein saaf kar dunga. Usne mana kar diya. Achha kiya usne.

Kul milakar pandrah lakh ke aas paas main gawa chuka hoon. Chalis pachaas hazaar abhi bhi logon ka dena hai. Bees din hue hain, maine kuch nahi khela. Raat ko sapne mein main nayi ID banata hoon aur subah uth ke check karta hoon ki account sach mein delete hai ya nahi. Bees din chhodna nahi hota. Bees din bas shuruaat hoti hai, itna mujhe samjha diya gaya hai.

Bike das baar giravi rakhi — TalkToMilind