← Member stories

Papa mere pair pakad kar roye

Main bais saal ka hoon, graduation ka aakhri saal chal raha hai, ghar mein akela beta hoon. Papa kisaan hain, do-teen bighe zameen hai.

2019 mein Dream11 se shuru hua. Sab team bana rahe the, maine bhi bana li. Phir head-to-head contest, phir MPL. Tab hazaar-do hazaar ki baat thi. Phir gaon ke chaar-paanch ladkon ke saath ek investment app mein paisa daala — pandrah din mein itna dega, roz sattar rupaye dega. Do-teen baar paisa aaya, phir sab band. Uske baad colour prediction wale game, phir casino aur betting sites. Casino sabse zyada le gaya.

Paisa kahan se aata tha, ye poochho. Pehle fees ka jhooth, kitaab ka jhooth. Ghar wale seedhe hain, bharosa kar lete the — main padhai mein achha tha na. Phir das percent byaaj par sahukaar se. Pehli baar maine bees hazaar byaaj par liye the, wahin se sab shuru hua. Papa ke naam ka bank loan. Mummy ka sona bank mein rakhwa diya, aur us din papa khud mere saath gaye the, meri hi udhaari chukane ke liye. Papa ki chaar lakh ki FD khatam. Dadi ne pension se jo paanch-saat lakh jode the, khatam. Mummy ke do-chaar lakh. Ghar mein aisa koi nahi bacha jiska paisa maine na khaya ho. Kul lagbhag pachaas-saath lakh.

Ghar walon se maine kaha tha ki share market mein doob gaya. Papa ne teen-chaar baar mera karza chukaya. Unhe aaj bhi ye nahi pata ki maine ye galti baar-baar ki hai.

November mein phir dedh-do lakh haara. Us din papa ne haath jod diye. Bole — beta, ab mere bas ka nahi hai. Ab tu ja, kahin kama, hum ek rupaya nahi denge. Main doosre sheher chala gaya kaam karne, phir mama ke paas. Dedh mahine pehle ghar laut aaya.

Das din pehle phir kar diya. Chhe hazaar mere paas the, doob gaye. Phir usi sahukaar se chalis hazaar liye, wo bhi gaye. Us aadmi ne mujhse chhe-saat lakh byaaj kama liya hoga.

Aaj mere upar athaarah lakh ka bank loan hai. Notice aate hain. Do account cyber cell ne freeze kar rakhe hain. Mummy bahut kamzor ho gayi hai, dadi ki tabiyat theek nahi rehti. Kabhi-kabhi lagta hai khatam kar loon, phir ghar walon ka khayal aa jaata hai.

Aur ek din papa mere pair pakad kar roye the. Wo main bhool nahi paata. Maine do baar kasam khayi thi aur dono baar tod di. Abhi pandrah din ho gaye hain khele hue. Pandrah din kuch nahi hote, mujhe pata hai. Bas koshish kar raha hoon.