← Member stories

Phone factory mein chhod ke aata hoon

Padhai chauthi-paanchvi tak hi hui. Gaon ke jo dost bahar kaam karne gaye the wo naye kapde aur naye joote pehen ke lautte the, aur mujhe laga main bhi jaunga to aisa ho jaunga. Chaar saal pehle nikal aaya. Pehle chappal ki factory, phir bade bhai ne silai sikha di. Ab ek chhoti si factory mein kapde silta hoon, ek piece ka chhabbis rupaya. Jitna banao utna paisa. Mahine ke bees hazaar ban jaate hain, chhe-saat hazaar kamre aur khane mein chala jaata hai.

Shuruaat number se hui. Saath kaam karne wale ek bhai ke saath offline number likhwane gaya tha. Ek rupaya lagao to sau milte hain, bas wahi lalach lag gaya. Wo aadmi to chhoot gaya, main akela jaane laga. Ek saal mein teen-chaar hazaar us mein gaye.

Phir IPL aaya. Factory ke ek dost ne bookie se meri ID banwa di. Sau rupaye se shuru kiya, phir hazaar. Ek raat gyarah baje hazaar ke paanch hazaar ban gaye. Maine bookie ko message kiya ki chaar hazaar bhej do, usne bola subah bhejunga. Us beech mein 'do-teen bet aur' karke aadha uda diya. Subah teen hazaar aaye aur main saat baje uth ke phir baith gaya. Gyarah sau Dragon Tiger mein paanch minute mein khatam. Us din mujhse kaam hi nahi hua.

Aaj tak ka hisaab jodha to ek lakh chauntis hazaar. Mere level par ye bahut bada hai. Das hazaar sood par uthaye the, hazaar rupaya mahina byaaj. Das hazaar se zyada byaaj bhar chuka hoon, mool wahin ka wahin khada hai.

Shaadi ko ek saal hua. Beta teen mahine ka hai, operation se hua, jo bachat thi wahi lagi. Biwi ko kuch nahi pata. Ghar mein kisi ko nahi pata. Ek saal mein tirpan se pentalis kilo par aa gaya hoon. Din mein chhe-saat cigarette, raat mein beedi.

Das din se ID band hai, dono block kar di. Jis din payment milta hai us din main phone hi factory mein chhod ke aata hoon, kyunki phone paas hoga to main daal hi dunga. Aaj bhi final match hai aur aaj bhi khujli ho rahi hai. Bas video kaan mein laga leta hoon aur silta rehta hoon.

Phone factory mein chhod ke aata hoon — TalkToMilind