← Member stories

Ab match bachpan wale tarike se dekhta hoon

Chaar saal pehle jab maine pehli baar khela tha, mujhe ye khayal bhi nahi tha ki main itna andar tak dhas jaunga.

Sab ne mujhe roka. Ghar wale, colleagues, bhai, mummy-papa, chacha-chachi — mere bhanje tak, ki mama ye mat kariye, aap barbaad ho jaayenge. Sab ne kaha, aur main phir bhi nahi ruka. Kyun nahi ruk paya, ye aaj bhi mujhe theek se nahi pata. Kuch cheezein aadmi ko wo khushi de deti hain jiske aage baaki sab chhota lagta hai.

Main ek sarkari naukri mein hoon. Saal ka barah lakh ke aas paas ban jaata hai. Ghar theek thaak hai. Biwi bahut achhi mili hai. Maa-baap achhe hain, bhai achhe hain, saath kaam karne wale bhi achhe hain. In sab ke bawajood main ye karta raha. Achhi zindagi kab buri zindagi ban jaati hai, ye aadmi ko khud nahi pata chalta.

Bahar se kisi ko dikhta nahi hai. Aaj bhi mujhe khud nahi pata rehta ki kaunsi EMI bounce hogi aur kaunsi nahi.

December mein ek raat maine bas aise hi ek video search kar liya. Chhabbees ya sattais tareekh thi. Milind ki videos saamne aane lagin. Pehli do-teen dekh ke mujhe laga ki bhaisaab views ke liye aisa bolte honge. Phir maine apne aas paas dekha aur samajh mein aaya ki nahi, ye sach hai. Aur ye bhi samajh mein aaya ki main akela nahi hoon.

Unhe message karne mein mujhe bahut dar lag raha tha, jis tarah woh logon ko daantte hain. Phir bhi maine kiya. January ke saat-aath tareekh ko humari baat hui.

Ab paanch mahine ho gaye hain. Us din ke baad ek baar bhi mere man mein nahi aaya ki bet karni hai. Kabhi aa bhi jaye toh main koi purani video laga leta hoon. Kabhi apni hi.

Ek cheez jo mujhe wapas mili hai woh ye hai. Cricket main ab bhi dekhta hoon, lekin ab main use waise dekhta hoon jaise bachpan mein dekhta tha. Mujhe pata hai ki match fix bhi ho sakta hai. Mujhe farak nahi padta. Mujhe bas majaa aata hai.

Karza abhi bhi hai. Kistein abhi bhi chal rahi hain. Main sirf itna keh sakta hoon ki chahe kisi bhi umar ke ho, kisi bhi jagah se ho — ye mat karo. Shortcut mat dhoondho. Mehnat karo.